Tuesday, December 20, 2005

Yeh Saaye hai

Yeh Saaye Hain
Yeh Duniya Hai
Parchhaiyon Ki,
Bhari Bheed Mein Khaali
Tanhaaiyon Ki

Yahan Koi Saahil Sahaara Nahin Hai
Kahin Doobne Ko Kinaara Nahin Hai
Yahan Koi Saahil Sahaara Nahin Hai
Yahan Saari Raunak Hai Ruswaaiyon Ki
Yeh Saaye Hai ...

Kai Chaand Uthkar Jalaye Bujhaye
Bahut Humne Chaaha Zara Neend Aaye
Kai Chaand Uthkar Jalaye Bujhaye
Yahan Raat Hoti Hai Bedaariyon Ki
Yeh Saaye Hai ...

Yahan Saare Chehre Hain Maange Hue Se
Nigaahon Mein Aansoo Bhi Taange Hue Se
Yahan Saare Chehre Hain Maange Hue Se
Badi Neechi Raahen Hain Unchaaiyon Ki
Yeh Saaye Hai ...

This is from the film Sitaara. Lyrics by the inimitable Gulzar and music by Panchamda and sung by Asha. The pessimism gets more accentuated when you realize that the couple in the movie had sung the following song together. But then such is life.


Thodi si zameen thoda aasmaan
Tinakon kaa bas ik aashiyaan
Thodi si zameen

Maangaa hai jo tum se vo zyaadaa to nahin hai
Dene ko to jaan de de vaadaa to nahin hai
Ko_ii tere vaade pe jiitaa hai kahaan
Tinakon ka bas ik aashiyaan
Thodi si zameen

Mere ghar ke aangan mein chhotaa saa jhuulaa hoga
Sondhii sondhii mittii hogi lipa hua chulhaa hogaa
Thodi thodi aag hogi thoda saa dhuaan
Tinakon kaa bas ik aashiyaan
Thodi si zameen

Raat kat jaayegii to kaise din bitaa_e.nge
Baajare ke kheto.n mein kau_e u.Daa_e.nge
Baajare ke sitton jaise bete hon javaan
Tinakon kaa bas ik aashiyaan
Thodi si zameen

2 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Heard thsi song so many times,it sure is one of my fav compositions by Gulzar.

December 21, 2005 5:55 AM

 
Blogger karuna said...

Whhoooaa, so hard to read so much hindi in english!

December 21, 2005 7:20 AM

 

Post a Comment

<< Home