Sukhan - e - Ghalib
1. Har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
TumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
[ guftgoo = conversation ]
2. Na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
Koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
[ barq = lightning, tund = sharp/angry, KHoo = behavior ]
3. Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
Wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
[ rashk = jealousy, ham_suKHan = to speak together/to agree,
KHauf = fear, bad = bad/wicked, aamozee = education/teaching,
adoo = enemy ]
4. Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
Hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
[ pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity,
rafoo = mending/darning ]
5. Jalaa hai jism jahaaN dil bhee jal gaya hoga
Kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
[ justjoo = desire ]
6. RagoN meiN dauDte phirne ke ham naheeN qaayal
Jab aaNkh hee se na Tapka to phir lahoo kya hai ?
7. Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
[ guftaar = speech/discourse ]
8. Huaa hai shaah ka musaahib, phir hai itaraata
Wagarna shehar meiN 'GHalib' kee aabroo kya hai ?
[ musaahib = comrade/associate ]
4 Comments:
aye kash ke kuch aur manga hota!!!
---bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle...
Thanks. good stuff.
SS
October 06, 2005 9:26 AM
hi :)
October 14, 2005 10:29 AM
Arre kya baat hai!!!Tipsy's is here!!!So,how was bombay???Kya sab kiya?Lemme know..
October 16, 2005 10:09 PM
Hazaron manjile hongi..
hazaron karwaan honge..
nigahe humein dhoondegi....hum na jaane kaan honge......
December 02, 2005 4:32 AM
Post a Comment
<< Home