Gulzarnama
Nazm
Aao phir nazm kahen
phir kisi dard ko sehlaake sujaa len aankhen
phir kisi dukhtee huyi rag se chhuaa len nashtar
ya kisee bhooli huyi raah pe mudkar ik baar
naam lekar kisi hamnaam ko aawaaz hi den
Aao phir nazm kahen
______________________________________________
Raat
Aad se hoke ghane pedon ke peechhe se kabhi
aur kabhi shehar ki deewaar se lagte-chhupte
haath mein chaand ki chamkeeli athannee lekar
ghar se bhaagee hai kisi mele mein jaane ke liye
Aah! ye chhoti -si maasoom-si bechaari ye raat
jee mein aataa hai ke bas haath pakadkar isko
subah ke mele mein le jaaoon, khilone le doon!
2 Comments:
little hard to read hindi in english but real nice.
October 31, 2005 1:27 AM
Gulzar,my all time favourite. He creates magic with simple words. Glad to find another gulzar fan.
November 16, 2005 8:09 PM
Post a Comment
<< Home